kya kare man
jab koi itna pyara lagne lage
ki uski hansi se dhup cheepne lage
khyal ban saath chalti rahe
parchai me wo dikhti rahe
man bahke to bahakne se kaise roke
armaan jage to jagne se kaise roke
kya kare man
....
tanhai ho ya juhum
har waqt khyalo me bas wo
har khyal jab pyara lage
ye saath jab sabse nyara lage
kya kare man
....
subah uskakhyal uthaye
raat ko uski garmi sulaye
din me bhi kitna tadpaye
par kyun is bhav ko hum hataye
kya kare man
....
uski mushkan se
jeevan ka har pal sarthak lage
bina uski awaz ke
har din thoda bhari lage
kya kare man
....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
awesome!!! kaam karte karte hi likha kijiye.. poems achi hoti hain.. this one is great, simple and so elegant :)
Wah keval doston ke dil ki baat likhte ho ki apni bhi chupi hai :P
बेहतरीन !!!
ये कलमे आपके लिये बिल्कुल सही बैठती है कि 'इश्क़ ने हमे निकम्मा कर दिया गा़लिब वरना आदमी हम भी काम के थे'
इश्क इश्क सब करे , मतलब न समझा कोय ,
और जो मतलब समझे , सो इश्क काहे को होय !!!
Post a Comment