Wednesday, June 11, 2008

Bahate hue samandar sa lagta hai sansaar

Bahate hue samandar sa lagta hai sansaar
kitna ataah hai iska vishtaar
Kinare pe khade hum,
bas kar rahe hai intezaar
us lahar ka
jo aake bhiga de hume
aur dilaye ehsaas ki
ye sansaar bhi humse karta hai pyaar

Lahre aati to hai
par pyar se pair nahi chumti
duniya ke thapede
pahle hume banati hai pashan
phir hota hai ek gharshan

Jab hota hai dil me josh
seene me aag
tab har pathar kahta hai
ki
aane do lahron ko
hum besabra hai inse takrane ko

Kuch apna astitva bacha lete hain
Kuch ko leel jaaata hai samundar

Yahi hai jeevan ka sangharsh
Ladte hue in thapedo se
bacha ke rakhna apna astitva

Aur kuch patharo pe hoti hai Prabhu ki kripa
gharshan se wo ban jaate hain aur sundar

Main kaun sa pashan hoon,
main kya janoo
Kaho, aaj main kiski baat manoo
Samandar to kahta hai ki aa, bheeg jaa
Dil ki aag kahti hai ki nahi, aur sthir ho jaa
Bagal ka pathar pyar se kahe, ki bas thoda sa badl jaa
Tum hi batao,
ki
ye nadaan se pathar kya kare

Buddhi jiski hai, wahi marga darshan kare
Jadta humari samapt kare
Aur hume pathar se manav banaye
Itni taakat de ki hum samandar ko bhi leel paye

No comments: