Thursday, June 12, 2008

Nikale jaata hai samay

Nikale jaata hai samay
jeevan vyartha na ho
iska nirantar hai bhay

jeene ki kala koi seekha jaye
nafrat ki jagah pyar koi dikha jaye


shabdon me na ho jindagi
panno me nahi
logon ke dilo me ho qaid

samay hai beeta jaye
par phir bhi hum kyun hai itraye
aaj tak to kuch bhi nahi samajh paye

prabhu, bhakti do ya gyan do
dukh do ya khushi do
par naiya paar laga do

mana hai kaam ye mera hai
main to aapka hoon
is bhav ko hi sthir kar loon
iski hi koshish ahi

bhaav ke sthir hote hi
har jhan(moment) ek jeevan ke barabar ho jaye
phir jeevan na lage vyartha

1 comment:

amitp said...

achcha likha hai ...
spelling mistakes hai ...
aur vaise bhi n aise bhi ,inhe hindi mein likh , BarahIME use kar ....

all the best